Koi maqsad na ho to, zindagi bekar nazar aayae
Kushadah roshani bhi, raah ki diwar nazar aayae
Yeh chota sa chaman hy maira, ke gul ki mahak aayae
Ke saba ki tarah log apnay, lahlahatay chalay aayae
Koi pagal ko na ras aayae, gar sair is chaman ki
Her shakh shajar ki, oosay ranjidah nazar aayae
Musalat daur aisa ho gaya hy, ke sakun kho gaya hy
Kash karta sawal Khuda se, log eik se na nazar aayae
Ahl-e watan se yeh maira sawal hy ke kiun chup ho
Ke apnay buzurgon ki pehchan kahan bhul aayae
Yeh zameen shahad se labraiz mohabbat ki zameen
Khar nafrat ke kiyun, log oogatae chalay aayae
Haal hota hy kaisa mufliees ka yeh kon samjha hy
Jo samjhay hain apnee inayat le kar chalay aayae
Umar ka saath nibhanay ke liyae Shaikh piyar se
Chaman-e Al-safa me bahar le kar chalay aayae
Az’am hi maira bahot hy paar janay ke liyae
Mujhay to chadtay darya me Allah ki kashti nazar aayae
Mein apnay safar me magan hun apnay aayaal ke sath
Koi sitara,koi jugnoo,koi tamtamati kiran nazar aayae
RawaN dawaN hun me apnay nishan ki janib
Log to aaye baatoN se dagmagane chalay aayae
Ghanay andheroN me duba hun bar bar
Magar hamraah hy ummid, ke sahar nazar aayae
Shaher me jo jo log bhi aayae gaon ke
Raftah raftah piyar ka ab’jad bhultay nazar aayae
Dilon me fasla itna na tha aur nahi hy ab bhi
Magar jahan zamanay ki chahat darmiyan aayae
Ham to chirag-e sehari hain jane ko hy zindagi
Allah ka karam hota rahay her lab per ye dua aayae
Dair tak is pairh ki thandak fizaoun me rahay Allah
Ye virasat chaoun ki sab ko mayasar aayae
Ameen summa Ameen ya rabbul alaimeen
14th May 2008/9 Jumaada al-awal 1429AH

































LinkBack URL
About LinkBacks





















