Azeezaan-e-mehfil aadaab,
kesey mizaaj haiN aap sab ke? umeed hai tamaam dost aehbaab bakheir hoNge,
naye saal ki aamad ke saath, aor issi munaasabat se bahot si umeedoN ko dil maiN basaaye ham aek baar phir haazir haiN,aor dua hai ke ALLAH karey ke is naye saal se ham sab ki jo bhi umeedeiN juRi haiN,woh ba aehsan poori hoN, aameen.
jesa ke aap jaantey haiN ke aap ki sheiry salaahitoN ko ubhaarney,apne hunar ko saabit karney,aor aek bharpoor aor musbat mashq-e-sukhan ke liye urdu world poet club maiN har maah aek koshish ki jaati hai jis ko ham muqaabala ka naam detey haiN, yeh thread bhi ussi silsila ki aek kaRi hai.
ham ussi silsiley ko jaari rakhtey huye aek baar phir haazir haiN,aor is baar muqaabala hai nazam goyi ka, naye saal ki munaasabat se is baar aap ko maozu diya ja raha hai " Saal-e-nao" , yeni aap ne naye saal ko maozu bana ke nazam kehni hai,
jesa ke aap jaantey haiN ke muqaabala ke nataaij ka aelaan judges ki mushtarika raaye par kiya jaata hai, aor marking ke liye aek khaas " criteria " tey hai, is baar ham us maiN thori si tabdeeli kar rahey haiN, so aap is baat ka khaas khayaal rakhiye ga.aainda se hamaara nazam ka "criteria" kuch yooN huwa karey ga, aor judges issi ke mutaabiq marking kareiN ge....................
1, maozu se insaaf................... ......................... ......................... ......................... .....2
2, behr/ wazn / rawaani.................. ......................... ......................... .....................4
3, andaaz-e-bayaaN, alfaaz ka chunaao/ istamaal,wagheira wagheira................. 4
aor yooN total marks hoNge.................... ......................... ......................... ..............10
so tamaam saathiyoN se jo is muqaabala maiN shaamil hoNge guzaarish hai ke is " criteria " ko mad-e-nazar rakhtey huye nazam kaheiN.in ke ilaawa baaqi sharaait hasb-e-saabiq rahein gi, yeni ke.......
1, nazam aap ki apni likhi huyi ho.
2, nazam ka unwaan laazmi hona chaahiye.
3, nazam post karney ke baad us maiN kissi bhi qisam ki rad-o-badal ya editing ki ijaazat naheeN ho gi.
4, nazam muaaqabala maiN shaamil karney ki last date 21 / 01/ 2012 hai, is ke baad post ki gayi kaawish muqaabala maiN shaamil naheeN ki jaaye gi.
5, behtareen nazam ka feisla hamaarey mohtaram judges ki mushtarika raaye par ho ga,jo ke hatmi tasawar ki jaaye gi.
ham umeed kartey hain ke is aasaan se maozu par tamaam saathi apni apni salaahiyatoN ka muzaahira kartey huye behtareen nazam kaheiN ge,aor hameiN be had khoobsurat kalaam paRhney ko miley ga,so jaldi kijiye, kaaghaz, qalam uthaaye,aor keh dijiye aek behtareen nazam,
apna bahot khayaal rakhiye ga,
shaad o aabaad rahiye,

































LinkBack URL
About LinkBacks























