kia her bar nya thred bayaa jaye gaa?
taqdeer ne mujhe phirr se ussii raah pe daal diyaa
lafz ke phooloN ko jab maiN ne naizoN pe ucHHal diyaa
haalet-e-dill ko terii yaad bhii na sanbhaal sakii
niyyet-e-shoq ko maiN ne pas-e-pusht daal diyaa
ye saanihaa ju mujh pe kayee baar giraaN guzra he
palk muzgaaN kisi khuwab ko phir se wohii haal diyaa
dunya-e-junouN apni tu ab bhii khoubsoort thii
ussy khoud hii maiN ne ranjish ke khad-o-khaal diya
ker ke waadah maiN uss se kis tarah nibhataa aakhir
us ne khoud hii hamehaa aatish-e-nafs ko taal diyaa
chalo aao ham bhii iss tishnagii ko mitate haiN waheed
saaqii ne phir se jaam hawaaoN maiN ucHHal diya
bilkul tazah ghazal pesh-e-khidmet he aur ju sahib bhii iss per taba aazmayee keraiN (wazen ke aitbar se) tu un ko ijazat he. thanks Waheed

































LinkBack URL
About LinkBacks










