Assalam-o-Alaikum;
Muskan qawaafi, radeef, behr, arkaan aur wazn, yeh sab shaayeri maiN ist'emaal honay wali aam istalaahaat haiN.. maiN koshish karti hooN k yakkay baad deegray in sab ko aam fehm andaaz maiN aap k gosh guzaar kar sakooN..
Qawaafi: yeh "qaafiya" ki jama hai.. aur qaafiya means ham sooti (aik jaisi aawaz walay) alfaaz.. jaisa k mila, gila, sila waghaira.. qaafiya ghazal k pehlay shair k donoN misroN, aur baqi har shair k doosray misray maiN ist'emal hota hai..
Radeef: aisa lafz/ya alfaaz jo ghazal k pehlay donoN misroN aur baqi har shair k doosray misray maiN ist'emal hoN, radeef kehlatay haiN.. qaafiya k fauran baad radeef ka ist'emaal hota hai.. jaisa k mere yeh ash'ar mulaahiza farmaiye;
dil dard say niDhaal raha, umr bhar raha..
phir bhi tera khayaal raha, umr bhar raha..
sochaiN kisi azaab ki muThi maiN reh gayeeN..
dhaRkan pe ik malaal raha, umr bhar raha..
in ash'ar maiN niDhaal, khayaal aur malaal qawaafi haiN.. jab k "raha, umr bhar raha" radeef hai..
behr/wazn: behr ka matlab hai misroN ki lambaai.. ghazal k hawalay say kuch makhsoos bahoor (behr ki jama) hoti haiN jin k mutaabiq hi ghazal goi ki jati hai..
arkaan: har behr ko us maiN shaamil arkaan (rukn ki jama) ki madad say pehchaana jata hai..
taqti: jis tarah har cheez ki paimaaish ka aik aala/tareeqa hota hai.. jaisa k waqt ki paimaaish k liye ghanta, minutes aur seconds ya lambaai ki paimaaish k liye meter ka paimaana ist'emal kiya jata hai.. isi tarah behr ki lambai/wazn jaanchnay k liye jo paimana is'tmaal hota hai, usay taqti kehtay haiN.. isi say ilm hota hai k mazkoora sh'air wazn maiN hai ya nahiN.. misra-e-tarah ki misaal saamnay rakhtay haiN;
behar-------------behar-e-ramal musamman makhboon mehzoof - yeh misra-e-tarah ki behr ka naam hai
arkaan---faailaatun,failaatun,fail aatun,felun yaa failun
wazn----------2122,1122,1122, 22 yaa 112 - yeh wazn taqti k zariye nikaala jata hai
wazn aur taqti k liye mazeed m'aloomat aapko mandarja zail tutorials say mil jayeN gi;
http://forum.urduworld.com/f2796/ilm...tareeqa-27923/
http://forum.urduworld.com/f2796/ilm...-hissa-332597/
kuch samajhnay maiN dushwari ho to maiN hazir hooN..
salamat rahiye

































LinkBack URL
About LinkBacks






















