Abhi abhi to aye ho Zara to thehar jao na...
Main apne dil k dukh sabhi aur khwab hain ye kuch hasee'n
tere sang beth kr zara tujh ko zara suna to loo'n
Meri zindgi ki raah guza'r lagti hai sab ko khush numa
main is k paich o kham sabhi tujh ko zara dikha to loo'n
Do chaar pal k sath ko sadyio'n bhula na paon ga
sadyio'n ki is khushi ko main dil mein zara samaa to loo'n
Tu dukh sahe main khush rahon? mumkin nahi bus ik yahi
mujhe khud pe itna maan hai tujh ko yaqee'n kara to loo'n
Tum muskarao to lage gham kuch to mere kam hue
apni khushi k waaste tujh ko zara hansa to loo'n
Teri zindgi ka ye safar chalta rahe khushi khushi
tere saamne main baarha(bar bar) tujh ko yahi dua to doo'n
Abhi abhi to aye ho.....

































LinkBack URL
About LinkBacks


















