Likh aaj meray yaar un k naam shyri
Keh unko muhabbat ka hay peghaam shyri
Phir onse to kabhi bhi omeed-e-wafa na rakh
Jo kehtay hain yaroon ko hay budnaam shyri
Kisko pata ye omer-e-rawaan sath chor day
Tootay huay dilon ka hay ye jaam shyri
Ho jinko lagi zarb-e-jigar apnay he dil say
Unko mila ghamon ka ye anjam shyri
Kya tune perha hay kabhi Iqbal ka kalam
Iqbal ka kalam hay alhaam shyri
Jisne dia Quran ka peghaam her jaga
Iqbal ki her baat hay Islam shyri
Ho jae na andesha-e-awargi Munir
Tu bhi to kr raha hay sar-e-aam shyri





LinkBack URL
About LinkBacks













Wah Kiya Khoob Kaawish Hai...Daad Qubool Kijiye, Likhna Or Share Karna Jari Rakhiye...





